khauf-e-aafat se kahaan dil mein riya aayegi | ख़ौफ़-ए-आफ़त से कहाँ दिल में रिया आएगी - Lal Chand Falak

khauf-e-aafat se kahaan dil mein riya aayegi
baat sacchi hai jo vo lab pe sada aayegi
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri mitti se bhi khushboo-e-wafa aayegi
main utha loonga bade shauq se us ko sar par
khidmat-e-qoum-o-watan mein jo bala aayegi
saamna sabr o shujaat se karunga main bhi
khinch ke mujh tak jo kabhi teg-e-jafa aayegi
gair zoom aur khudi se jo karega hamla
meri imdaad ko khud zaat-e-khuda aayegi
aatma hoon main badal daaloonga fauran chola
kya bigaadegee agar meri qaza aayegi
khoon royegi samaa par mere marne pe shafaq
gham manaane ke liye kaali ghatta aayegi
abr-e-tar ashk bahaayega mere laashe par
khaak udaane ke liye baad-e-saba aayegi
zindagaani mein to milne se jhijhakti hai falak
khalk ko yaad meri ba'd-e-fana aayegi

ख़ौफ़-ए-आफ़त से कहाँ दिल में रिया आएगी
बात सच्ची है जो वो लब पे सदा आएगी
दिल से निकलेगी न मर कर भी वतन की उल्फ़त
मेरी मिट्टी से भी ख़ुशबू-ए-वफ़ा आएगी
मैं उठा लूँगा बड़े शौक़ से उस को सर पर
ख़िदमत-ए-क़ौम-ओ-वतन में जो बला आएगी
सामना सब्र ओ शुजाअत से करूँगा मैं भी
खिंच के मुझ तक जो कभी तेग़-ए-जफ़ा आएगी
ग़ैर ज़ोम और ख़ुदी से जो करेगा हमला
मेरी इमदाद को ख़ुद ज़ात-ए-ख़ुदा आएगी
आत्मा हूँ मैं बदल डालूँगा फ़ौरन चोला
क्या बिगाड़ेगी अगर मेरी क़ज़ा आएगी
ख़ून रोएगी समा पर मेरे मरने पे शफ़क़
ग़म मनाने के लिए काली घटा आएगी
अब्र-ए-तर अश्क बहाएगा मिरे लाशे पर
ख़ाक उड़ाने के लिए बाद-ए-सबा आएगी
ज़िंदगानी में तो मिलने से झिझकती है 'फ़लक'
ख़ल्क़ को याद मिरी ब'अद-ए-फ़ना आएगी

- Lal Chand Falak
5 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lal Chand Falak

As you were reading Shayari by Lal Chand Falak

Similar Writers

our suggestion based on Lal Chand Falak

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari