apaahij baap ko beta akela chhod jaata hai
museebat mein to akshar saath saaya chhod jaata hai
ghanera ho shajar kitna nahin shaadaab gar shaakhen
to in shaakhon pe phir aana parinda chhod jaata hai
utha paata nahin khaali shikam jab bojh baste ka
mitaane bhook bachpan ki vo basta chhod jaata hai
qalam hona tha jis ke haath mein thaame vo khanjar hai
kahi ilm-o-adab ka apna rasta chhod jaata hai
hifazat mulk ki karta hai antim saans tak apni
wahi peeche bilkata ek rishta chhod jaata hai
अपाहिज बाप को बेटा अकेला छोड़ जाता है
मुसीबत में तो अक्सर साथ साया छोड़ जाता है
घनेरा हो शजर कितना नहीं शादाब गर शाख़ें
तो इन शाख़ों पे फिर आना परिंदा छोड़ जाता है
उठा पाता नहीं ख़ाली शिकम जब बोझ बस्ते का
मिटाने भूक बचपन की वो बस्ता छोड़ जाता है
क़लम होना था जिस के हाथ में थामे वो ख़ंजर है
कहीं इल्म-ओ-अदब का अपना रस्ता छोड़ जाता है
हिफ़ाज़त मुल्क की करता है अंतिम साँस तक अपनी
वही पीछे बिलकता एक रिश्ता छोड़ जाता है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Laxman Sharma Vahid
As you were reading Tanhai Shayari Shayari