ab to ye soch ke bhi dil mera ghabraata hai
subh ka bhoola hua shaam ko ghar aata hai
ek ik karke bujhe jaate hain rakhshanda nujoom
ek tu hai jo b-har-simt nazar aata hai
ab tira khwaab bhi ik paikar-e-seemin ki tarah
aasmaanon se mere dil mein utar aata hai
lazzat-e-sang ki khaatir hi biyaabaan se koi
chhod kar baagh sar-e-raah guzar aata hai
dil ki dahleez se jaata hai jo ik marmariin jism
har taraf ghoom ke baa-deeda-e-tar aata hai
jism thak kar bhi nahin raah mein rukta pal bhar
dil magar us ke shabistaan mein thehar aata hai
अब तो ये सोच के भी दिल मिरा घबराता है
सुब्ह का भूला हुआ शाम को घर आता है
एक इक करके बुझे जाते हैं रख़्शंदा नुजूम
एक तू है जो ब-हर-सम्त नज़र आता है
अब तिरा ख़्वाब भी इक पैकर-ए-सीमीं की तरह
आसमानों से मिरे दिल में उतर आता है
लज़्ज़त-ए-संग की ख़ातिर ही बयाबाँ से कोई
छोड़ कर बाग़ सर-ए-राह गुज़र आता है
दिल की दहलीज़ से जाता है जो इक मरमरीं जिस्म
हर तरफ़ घूम के बा-दीदा-ए-तर आता है
जिस्म थक कर भी नहीं राह में रुकता पल भर
दिल मगर उस के शबिस्ताँ में ठहर आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M Kothiyavi Rahi
our suggestion based on M Kothiyavi Rahi
As you were reading Ghar Shayari Shayari