ghoomoon nahin to kya main kahi ja ke pad rahoon
beemaar aadmi ki tarah raat kaat doon
dekhega aaj meri taraf kaun pyaar se
bujhta hua charaagh hoon patjhad ka chaand hoon
tasveer ban ke dekh raha hoon jahaan ko
tu hi bata ki aur main ab kaise chup rahoon
sheerin hai zahar maut ka ai talkhi-e-hayaat
jee chahta hai aaj tira jaam tod doon
is baare mein to aap se behtar hoon main zaroor
peena bhi pad gaya to piya hai khud apna khun
khat likh ke faad dena mere mashghalon mein hai
padhti rahi hai aag mera naama-e-zuboon
gir jaayegi ye chat jo chali jhoom kar hawa
raahi meri hayaat hai ik qasr-e-be-sutoon
घूमूँ नहीं तो क्या मैं कहीं जा के पड़ रहूँ
बीमार आदमी की तरह रात काट दूँ
देखेगा आज मेरी तरफ़ कौन प्यार से
बुझता हुआ चराग़ हूँ पतझड़ का चाँद हूँ
तस्वीर बन के देख रहा हूँ जहान को
तू ही बता कि और मैं अब कैसे चुप रहूँ
शीरीं है ज़हर मौत का ऐ तल्ख़ी-ए-हयात
जी चाहता है आज तिरा जाम तोड़ दूँ
इस बारे में तो आप से बेहतर हूँ मैं ज़रूर
पीना भी पड़ गया तो पिया है ख़ुद अपना ख़ूँ
ख़त लिख के फाड़ देना मिरे मशग़लों में है
पढ़ती रही है आग मिरा नामा-ए-ज़ुबूँ
गिर जाएगी ये छत जो चली झूम कर हवा
'राही' मिरी हयात है इक क़स्र-ए-बे-सुतूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M Kothiyavi Rahi
our suggestion based on M Kothiyavi Rahi
As you were reading Chaand Shayari Shayari