rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai | रस्ता किसी वहशी का अभी देख रहा है

  - M Kothiyavi Rahi

rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai
ye ped jo is raah mein sadiyon se khada hai

gurbat ke andhere mein tiri yaad ke jugnoo
chamke hain to raahon ka safar aur badha hai

duniya se alag ho ke guzarti hai jawaani
haalaan ki ye mumkin nahin purkhon se suna hai

chaahat jo junoon ke liye zanjeer bani thi
aaj us ko bhi vehshat ne meri tod diya hai

yaaro na abhi apne thikaanon ko sidhaaro
kuchh baat karo raat kate sard hawa hai

ik gham ka alaav hai jise gher ke sab log
baithe hain ki raahi ne naya geet likha hai

रस्ता किसी वहशी का अभी देख रहा है
ये पेड़ जो इस राह में सदियों से खड़ा है

ग़ुर्बत के अँधेरे में तिरी याद के जुगनू
चमके हैं तो राहों का सफ़र और बढ़ा है

दुनिया से अलग हो के गुज़रती है जवानी
हालाँ कि ये मुमकिन नहीं पुरखों से सुना है

चाहत जो जुनूँ के लिए ज़ंजीर बनी थी
आज उस को भी वहशत ने मिरी तोड़ दिया है

यारो न अभी अपने ठिकानों को सिधारो
कुछ बात करो रात कटे सर्द हवा है

इक ग़म का अलाव है जिसे घेर के सब लोग
बैठे हैं कि 'राही' ने नया गीत लिखा है

  - M Kothiyavi Rahi

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M Kothiyavi Rahi

As you were reading Shayari by M Kothiyavi Rahi

Similar Writers

our suggestion based on M Kothiyavi Rahi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari