tumhaare paikar se footne waali raushni meri raah mein hai
ye fasla is liye gawara ki ik haqeeqat nigaah mein hai
faseel-e-gham gir gai to kis se lipt ke roenge shehr-e-yaaraan
ye soch kar jhoom utha hoon yaaro ki gham khud apni panaah mein hai
main zindagi taj ke aa raha hoon isee liye muskuraa raha hoon
zara batao ki kis liye ab kajee tumhaari kulaah mein hai
tumhaare baagon se door veeraan regzaaron mein gul khile hain
shafaq ufuq ke hisaar mein hai shaguftagi shaahraah mein hai
nadi nadi be-karaan khamoshi shajar shajar sogwaar saaye
ye raat beemaar ho gai hai ki mubtala phir gunaah mein hai
udaas yaadon ne baab-e-afkaar par kai baar dastaken deen
magar qalam hai ki gul-fishaan bint-e-shab ki aaraam-gaah mein hai
koi qalander hai koi darvesh koi wahshi hai koi raahi
har ek shoreeda-sar baraae-sehr tiri khaanqaah mein hai
तुम्हारे पैकर से फूटने वाली रौशनी मेरी राह में है
ये फ़ासला इस लिए गवारा कि इक हक़ीक़त निगाह में है
फ़सील-ए-ग़म गिर गई तो किस से लिपट के रोएँगे शहर-ए-याराँ
ये सोच कर झूम उठा हूँ यारो कि ग़म ख़ुद अपनी पनाह में है
मैं ज़िंदगी तज के आ रहा हूँ इसी लिए मुस्कुरा रहा हूँ
ज़रा बताओ कि किस लिए अब कजी तुम्हारी कुलाह में है
तुम्हारे बाग़ों से दूर वीरान रेगज़ारों में गुल खिले हैं
शफ़क़ उफ़ुक़ के हिसार में है शगुफ़्तगी शाहराह में है
नदी नदी बे-कराँ ख़मोशी शजर शजर सोगवार साए
ये रात बीमार हो गई है कि मुब्तला फिर गुनाह में है
उदास यादों ने बाब-ए-अफ़्कार पर कई बार दस्तकें दीं
मगर क़लम है कि गुल-फ़िशाँ बिन्त-ए-शब की आराम-गाह में है
कोई क़लंदर है कोई दरवेश कोई वहशी है कोई 'राही'
हर एक शोरीदा-सर बराए-सहर तिरी ख़ानक़ाह में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M Kothiyavi Rahi
our suggestion based on M Kothiyavi Rahi
As you were reading Bekhayali Shayari Shayari