uqaab-e-fikr akela hai barf-zaaron mein
ki chaand jaade ka jaise larzate taaron mein
vo aankh noch de jis ko bhari bahaaron mein
lahu ka rang nazar aaye aabshaaron mein
chala hai qaafila-e-aashiqan ki shola-rukhaan
dabii dabii si hain chingaariyaan ghubaron mein
sambhal gaya mera girta badan utha ke tujhe
main phir chala hoon fisalte hue dayaaron mein
sukoot-e-fikr ke unwaan pe baat chal nikli
ik aisa she'r padh aaye hain shahr-yaaron mein
उक़ाब-ए-फ़िक्र अकेला है बर्फ़-ज़ारों में
कि चाँद जाड़े का जैसे लरज़ते तारों में
वो आँख नोच दे जिस को भरी बहारों में
लहू का रंग नज़र आए आबशारों में
चला है क़ाफ़िला-ए-आशिक़ाँ कि शोला-रुख़ाँ
दबी दबी सी हैं चिंगारियाँ ग़ुबारों में
सँभल गया मिरा गिरता बदन उठा के तुझे
मैं फिर चला हूँ फिसलते हुए दयारों में
सुकूत-ए-फ़िक्र के उनवाँ पे बात चल निकली
इक ऐसा शे'र पढ़ आए हैं शहर-यारों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M Kothiyavi Rahi
our suggestion based on M Kothiyavi Rahi
As you were reading Breakup Shayari Shayari