wahin se haarkar main aa raha tha | वहीं से हारकर मैं आ रहा था - Manish Patel

wahin se haarkar main aa raha tha
jahaan parcham mera lahara raha tha

vo ik dariya ke andar qaid kar ke
samandar khwaab mein dikhla raha tha

na jaane kis tarah kii khaamoshi thi
vo mujhmein roz marta ja raha tha

meri qismat mein patthar ke nishaan the
main ik mazdoor ka beta raha tha

वहीं से हारकर मैं आ रहा था
जहाँ परचम मेरा लहरा रहा था

वो इक दरिया के अंदर क़ैद कर के
समंदर ख़्वाब में दिखला रहा था

न जाने किस तरह की ख़ामुशी थी
वो मुझमें रोज़ मरता जा रहा था

मेरी क़िस्मत में पत्थर के निशाँ थे
मैं इक मज़दूर का बेटा रहा था

- Manish Patel
1 Like

Similar Writers

our suggestion based on Manish Patel

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari