kisi ke saath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisi ke saath magar aur bhi akela hain
ab is ke baad na jaane naseeb mein kya hai
na saath aao hamaare bahut jhamele hain
kahaan hai yaad mila koii kab to kab bichhda
ham apne dhyaan se utre hue se mele hain
kaho na mujh se ki chalte hain ab milenge phir
ye khel vo hain ki sadiyon se log khele hain
jo ghar mein jaaun to awaaz tak nahin koii
gali mein aaun to har soo sada ke rele hain
jo log bhool-bhulayyaan hain talkh ab apni
nahin vo sirf akela bahut akela hain
किसी के साथ न होने के दुख भी झेले हैं
किसी के साथ मगर और भी अकेले हैं
अब इस के बाद न जाने नसीब में क्या है
न साथ आओ हमारे बहुत झमेले हैं
कहाँ है याद मिला कोई कब तो कब बिछड़ा
हम अपने ध्यान से उतरे हुए से मेले हैं
कहो न मुझ से कि चलते हैं अब मिलेंगे फिर
ये खेल वो हैं कि सदियों से लोग खेले हैं
जो घर में जाऊँ तो आवाज़ तक नहीं कोई
गली में आऊँ तो हर सू सदा के रेले हैं
जो लोग भूल-भुलय्याँ हैं 'तल्ख़' अब अपनी
नहीं वो सिर्फ़ अकेले बहुत अकेले हैं
As you were reading Shayari by Manmohan Talkh
our suggestion based on Manmohan Talkh
As you were reading undefined Shayari