ab jo ik hasrat-e-jawaani hai | अब जो इक हसरत-ए-जवानी है - Meer Taqi Meer

ab jo ik hasrat-e-jawaani hai
umr-e-rafta ki ye nishaani hai

rashk-e-yoosuf hai aah waqt-e-azeez
umr ik baar-e-kaarwaani hai

giryaa har waqt ka nahin be-hech
dil mein koi gham-e-nihaani hai

hum qafas-zaad qaaidi hain warna
ta chaman ek par-fishaani hai

us ki shamsheer tez hai hamdam
mar rahenge jo zindagaani hai

gham-o-ranj-o-alam niko yaa se
sab tumhaari hi meherbaani hai

khaak thi maujzan jahaan mein aur
hum ko dhoka ye tha ki paani hai

yaa hue meer tum barabar khaak
waan wahi naaz o sargiraani hai

अब जो इक हसरत-ए-जवानी है
उम्र-ए-रफ़्ता की ये निशानी है

रश्क-ए-यूसुफ़ है आह वक़्त-ए-अज़ीज़
उम्र इक बार-ए-कारवानी है

गिर्या हर वक़्त का नहीं बे-हेच
दिल में कोई ग़म-ए-निहानी है

हम क़फ़स-ज़ाद क़ैदी हैं वर्ना
ता चमन एक पर-फ़िशानी है

उस की शमशीर तेज़ है हमदम
मर रहेंगे जो ज़िंदगानी है

ग़म-ओ-रंज-ओ-अलम निको याँ से
सब तुम्हारी ही मेहरबानी है

ख़ाक थी मौजज़न जहाँ में और
हम को धोका ये था कि पानी है

याँ हुए 'मीर' तुम बराबर ख़ाक
वाँ वही नाज़ ओ सरगिरानी है

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari