dard-o-andoh mein thehra jo raha main hi hoon | दर्द-ओ-अंदोह में ठहरा जो रहा मैं ही हूँ

  - Meer Taqi Meer

dard-o-andoh mein thehra jo raha main hi hoon
rang-roo jis ke kabhu munh na chadha main hi hoon

jis pe karte ho sada jour-o-jafa main hi hoon
phir bhi jis ko hai gumaan tum se wafa mein hi hoon

bad kaha main ne raqeebon ko to taqseer hui
kyun hai bakhsho bhi bhala sab mein bura main hi hoon

apne kooche mein fugaan jis ki suno ho har raat
vo jigar-e-sokhta o seena-jala main hi hoon

khaar ko jin ne ladi moti ki kar dikhlaayaa
us bayaabaan mein vo aabla-pa main hi hoon

lutf aane ka hai kya bas nahin ab taab-e-jafa
itna aalam hai bhara jaao na kya main hi hoon

ruk ke jee ek jahaan doosre aalam ko gaya
tan-e-tanha na tire gham mein hua main hi hoon

is ada ko to tak ik sair kar insaaf karo
vo bura haiga bhala dosto ya main hi hoon

main ye kehta tha ki dil jan ne liya kaun hai vo
yak-b-yak bol utha us taraf aa main hi hoon

jab kaha main ne ki tu hi hai to phir kehne laga
kya karega tu mera dekhoon to ja main hi hoon

sunte hi hans ke tak ik sochiyo kya tu hi tha
jin ne shab ro ke sab ahvaal kaha main hi hoon

meer aawara-e-aalam jo suna hai tu ne
khaak-aalooda vo ai baad-e-saba main hi hoon

kaasa-e-sar ko liye maangata deedaar phire
meer vo jaan se bezaar gada main hi hoon

दर्द-ओ-अंदोह में ठहरा जो रहा मैं ही हूँ
रंग-रू जिस के कभू मुँह न चढ़ा मैं ही हूँ

जिस पे करते हो सदा जौर-ओ-जफ़ा मैं ही हूँ
फिर भी जिस को है गुमाँ तुम से वफ़ा में ही हूँ

बद कहा मैं ने रक़ीबों को तो तक़्सीर हुई
क्यूँ है बख़्शो भी भला सब में बुरा मैं ही हूँ

अपने कूचे में फ़ुग़ाँ जिस की सुनो हो हर रात
वो जिगर-ए-सोख़्ता ओ सीना-जला मैं ही हूँ

ख़ार को जिन ने लड़ी मोती की कर दिखलाया
उस बयाबान में वो आबला-पा मैं ही हूँ

लुत्फ़ आने का है क्या बस नहीं अब ताब-ए-जफ़ा
इतना आलम है भरा जाओ न क्या मैं ही हूँ

रुक के जी एक जहाँ दूसरे आलम को गया
तन-ए-तन्हा न तिरे ग़म में हुआ मैं ही हूँ

इस अदा को तो टक इक सैर कर इंसाफ़ करो
वो बुरा हैगा भला दोस्तो या मैं ही हूँ

मैं ये कहता था कि दिल जन ने लिया कौन है वो
यक-ब-यक बोल उठा उस तरफ़ आ मैं ही हूँ

जब कहा मैं ने कि तू ही है तो फिर कहने लगा
क्या करेगा तू मिरा देखूँ तो जा मैं ही हूँ

सुनते ही हंस के टक इक सोचियो क्या तू ही था
जिन ने शब रो के सब अहवाल कहा मैं ही हूँ

'मीर' आवारा-ए-आलम जो सुना है तू ने
ख़ाक-आलूदा वो ऐ बाद-ए-सबा मैं ही हूँ

कासा-ए-सर को लिए माँगता दीदार फिरे
'मीर' वो जान से बेज़ार गदा मैं ही हूँ

  - Meer Taqi Meer

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari