ghamze ne us ke chori mein dil ki hunar kiya
us khaanumaan-kharaab ne aankhon mein ghar kiya
rang ud chala chaman mein gulon ka to kya naseem
ham ko to rozgaar ne be-baal-o-par kiya
naafe jo theen mizaaj ko awwal so ishq mein
aakhir unhin davaaon ne ham ko zarar kiya
marta hoon jaan den hain watan-daariyon pe log
aur sunte jaate hain ki har ik ne safar kiya
kya jaanoon bazm-e-aish ki saaqi ki chashm dekh
main sohbat-e-sharaab se aage safar kiya
jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-hawas kahaan
sun leejiyo ki ham hi ne seena-sipar kiya
dil zakhmi ho ke tujh tai pahuncha to kam nahin
is neem-kushta ne bhi qayamat jigar kiya
hai kaun aap mein jo mile tujh se mast naaz
zauq-e-khabar hi ne to hamein be-khabar kya
vo dast-e-khauf-naak raha hai mera watan
sun kar jise khizr ne safar se hazar kiya
kuchh kam nahin hain shobda-baazon se may-gusaar
daaru pila ke shaikh ko aadam se khar kiya
hain chaaron taraf kheme khade gard-baad ke
kya jaaniye junoon ne iraada kidhar kiya
luknat tiri zabaan ki hai sehar jis se shokh
yak harf-e-neem-gufta ne dil par asar kiya
be-sharm mahaj hai vo gunahgaar jin ne meer
abr-e-karam ke saamne daamaan tar kiya
ग़म्ज़े ने उस के चोरी में दिल की हुनर किया
उस ख़ानुमाँ-ख़राब ने आँखों में घर किया
रंग उड़ चला चमन में गुलों का तो क्या नसीम
हम को तो रोज़गार ने बे-बाल-ओ-पर किया
नाफ़े जो थीं मिज़ाज को अव्वल सो इश्क़ में
आख़िर उन्हीं दवाओं ने हम को ज़रर किया
मरता हूँ जान दें हैं वतन-दारीयों पे लोग
और सुनते जाते हैं कि हर इक ने सफ़र किया
क्या जानूँ बज़्म-ए-ऐश कि साक़ी की चश्म देख
मैं सोहबत-ए-शराब से आगे सफ़र किया
जिस दम कि तेग़-ए-इश्क़ खिंची बुल-हवस कहाँ
सुन लीजियो कि हम ही ने सीना-सिपर किया
दिल ज़ख़्मी हो के तुझ तईं पहुँचा तो कम नहीं
इस नीम-कुश्ता ने भी क़यामत जिगर किया
है कौन आप में जो मिले तुझ से मस्त नाज़
ज़ौक़-ए-ख़बर ही ने तो हमें बे-ख़बर क्या
वो दश्त-ए-ख़ौफ़-नाक रहा है मिरा वतन
सुन कर जिसे ख़िज़्र ने सफ़र से हज़र किया
कुछ कम नहीं हैं शोबदा-बाज़ों से मय-गुसार
दारू पिला के शैख़ को आदम से ख़र किया
हैं चारों तरफ़ खे़मे खड़े गर्द-बाद के
क्या जानिए जुनूँ ने इरादा किधर किया
लुक्नत तिरी ज़बान की है सहर जिस से शोख़
यक हर्फ़-ए-नीम-गुफ़्ता ने दिल पर असर किया
बे-शर्म महज़ है वो गुनहगार जिन ने 'मीर'
अब्र-ए-करम के सामने दामाँ तर किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Safar Shayari Shayari