shab-e-dard-o-gham se arsa mere jee pe tang tha | शब-ए-दर्द-ओ-ग़म से अर्सा मिरे जी पे तंग था

  - Meer Taqi Meer

shab-e-dard-o-gham se arsa mere jee pe tang tha
aaya shab-e-firaq thi ya roz-e-jang tha

kasrat mein dard-o-gham ki na nikli koi tapish
koocha jigar ke zakham ka shaayad ki tang tha

laaya mere mazaar pe us ko ye jazb-e-ishq
jis bewafa ko naam se bhi mere nang tha

dekha hai said-ga mein tire said ka jigar
baaanka chin raha tha pe zaauq-e-khdang tha

dil se mere laga na tira dil hazaar haif
ye sheesha ek umr se mushtaaq-e-sang tha

mat kar ajab jo meer tire gham mein mar gaya
jeene ka is mareez ke koi bhi dhang tha

शब-ए-दर्द-ओ-ग़म से अर्सा मिरे जी पे तंग था
आया शब-ए-फ़िराक़ थी या रोज़-ए-जंग था

कसरत में दर्द-ओ-ग़म की न निकली कोई तपिश
कूचा जिगर के ज़ख़्म का शायद कि तंग था

लाया मिरे मज़ार पे उस को ये जज़्ब-ए-इश्क़
जिस बेवफ़ा को नाम से भी मेरे नंग था

देखा है सैद-गा में तिरे सैद का जिगर
बाआनका छिन रहा था पे ज़ौक़-ए-ख़दंग था

दिल से मिरे लगा न तिरा दिल हज़ार हैफ़
ये शीशा एक उम्र से मुश्ताक़-ए-संग था

मत कर अजब जो 'मीर' तिरे ग़म में मर गया
जीने का इस मरीज़ के कोई भी ढंग था

  - Meer Taqi Meer

Bewafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Bewafa Shayari Shayari