bharkaayein meri pyaas ko akshar tiri aankhen | भड़काएँ मिरी प्यास को अक्सर तिरी आँखें

  - Mohsin Naqvi

bharkaayein meri pyaas ko akshar tiri aankhen
sehra mera chehra hai samundar tiri aankhen

phir kaun bhala daad-e-tabassum unhen dega
roengi bahut mujh se bichhad kar tiri aankhen

khaali jo hui shaam-e-ghareebaan ki hatheli
kya kya na lutaati raheen gauhar teri aankhen

bojhal nazar aati hain b-zaahir mujhe lekin
khulti hain bahut dil mein utar kar tiri aankhen

ab tak meri yaadon se mitaaye nahin mitaa
bheegi hui ik shaam ka manzar tiri aankhen

mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi kah luun
phir odh na len khwaab ki chadar tiri aankhen

main sang-sifat ek hi raaste mein khada hoon
shaayad mujhe dekhengi palat kar tiri aankhen

yun dekhte rahna use achha nahin mohsin
vo kaanch ka paikar hai to patthar tiri aankhen

भड़काएँ मिरी प्यास को अक्सर तिरी आँखें
सहरा मिरा चेहरा है समुंदर तिरी आँखें

फिर कौन भला दाद-ए-तबस्सुम उन्हें देगा
रोएँगी बहुत मुझ से बिछड़ कर तिरी आँखें

ख़ाली जो हुई शाम-ए-ग़रीबाँ की हथेली
क्या क्या न लुटाती रहीं गौहर तेरी आँखें

बोझल नज़र आती हैं ब-ज़ाहिर मुझे लेकिन
खुलती हैं बहुत दिल में उतर कर तिरी आँखें

अब तक मिरी यादों से मिटाए नहीं मिटता
भीगी हुई इक शाम का मंज़र तिरी आँखें

मुमकिन हो तो इक ताज़ा ग़ज़ल और भी कह लूँ
फिर ओढ़ न लें ख़्वाब की चादर तिरी आँखें

मैं संग-सिफ़त एक ही रस्ते में खड़ा हूँ
शायद मुझे देखेंगी पलट कर तिरी आँखें

यूँ देखते रहना उसे अच्छा नहीं 'मोहसिन'
वो काँच का पैकर है तो पत्थर तिरी आँखें

  - Mohsin Naqvi

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari