zakham ke phool se taskin talab karti hai
baaz auqaat meri rooh gazab karti hai
jo tiri zulf se utre hon mere aangan mein
chaandni aise andheron ka adab karti hai
apne insaaf ki zanjeer na dekho ki yahan
muflisi zehan ki fariyaad bhi kab karti hai
sehan-e-gulshan mein hawaon ki sada ghaur se sun
har kali maatam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai
sirf din dhalne pe mauqoof nahin hai mohsin
zindagi zulf ke saaye mein bhi shab karti hai
ज़ख़्म के फूल से तस्कीन तलब करती है
बाज़ औक़ात मिरी रूह ग़ज़ब करती है
जो तिरी ज़ुल्फ़ से उतरे हों मिरे आँगन में
चाँदनी ऐसे अँधेरों का अदब करती है
अपने इंसाफ़ की ज़ंजीर न देखो कि यहाँ
मुफ़्लिसी ज़ेहन की फ़रियाद भी कब करती है
सेहन-ए-गुलशन में हवाओं की सदा ग़ौर से सुन
हर कली मातम-ए-सद-जश्न-ए-तरब करती है
सिर्फ़ दिन ढलने पे मौक़ूफ़ नहीं है 'मोहसिन'
ज़िंदगी ज़ुल्फ़ के साए में भी शब करती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Phool Shayari Shayari