tumhein koi pareshaani nahin to
hamein lag to raha jaani nahin to
chalo maana ye surkhi neend ki hai
to phir ye aankh mein paani nahin to
mita khud ko raha jiske liye tu
teri vo bhi hai deewani nahin to
chalo is baar tumko maaf kar doon
na karna phir ye nadaani nahin to
use ahl-e-musaahib kar liya hai
magar kya zaat pahchaani nahin to
ghazal par waahwaahi di nawaazish
samajh mein aa gaye ma'ni nahin to
mila kya kuchh nahin duniya mein mauji
mile maa-baap ke saani nahin to
तुम्हें कोई परेशानी? नहीं तो
हमें लग तो रहा जानी नहीं तो
चलो माना ये सुर्ख़ी नींद की है
तो फिर ये आँख में पानी? नहीं तो
मिटा ख़ुद को रहा जिसके लिए तू
तेरी वो भी है दीवानी? नहीं तो
चलो इस बार तुमको माफ़ कर दूँ
न करना फिर ये नादानी नहीं तो
उसे अहल-ए-मुसाहिब कर लिया है
मगर क्या ज़ात पहचानी? नहीं तो
ग़ज़ल पर वाहवाही दी, नवाज़िश
समझ में आ गए मा’नी? नहीं तो
मिला क्या कुछ नहीं दुनिया में ‘मौजी’
मिले माँ-बाप के सानी? नहीं तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manmauji
our suggestion based on Manmauji
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari