har koi shehar mein paaband-e-ana lagta hai | हर कोई शहर में पाबंद-ए-अना लगता है

  - Nadir Siddiqui

har koi shehar mein paaband-e-ana lagta hai
kya tamasha hai ki har shakhs khuda lagta hai

main ne hijrat ke biyaabaan mein riyaazat ki hai
ab ye jungle mujhe firdaus-numā lagta hai

deeda-e-shokh mein dekha hai utar kar main ne
husn pindaar hai parde mein bhala lagta hai

jab tire gham se nikalne ki na soorat nikle
tera wahshi kisi deewaar se ja lagta hai

is ko sarkaar ke bose ka sharf haasil hai
warna kaala sa ye patthar mera kya lagta hai

ab bhi jaata hoon kate ped ka saaya lene
muddaton se jo bhala tha so bhala lagta hai

हर कोई शहर में पाबंद-ए-अना लगता है
क्या तमाशा है कि हर शख़्स ख़ुदा लगता है

मैं ने हिजरत के बयाबाँ में रियाज़त की है
अब ये जंगल मुझे फ़िरदौस-नुमा लगता है

दीदा-ए-शोख़ में देखा है उतर कर मैं ने
हुस्न पिंदार है पर्दे में भला लगता है

जब तिरे ग़म से निकलने की न सूरत निकले
तेरा वहशी किसी दीवार से जा लगता है

इस को सरकार के बोसे का शरफ़ हासिल है
वर्ना काला सा ये पत्थर मिरा क्या लगता है

अब भी जाता हूँ कटे पेड़ का साया लेने
मुद्दतों से जो भला था सो भला लगता है

  - Nadir Siddiqui

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Siddiqui

As you were reading Shayari by Nadir Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari