hamein bhi aa gaya aakhir kisi gham ko chhupa dena | हमें भी आ गया आख़िर किसी ग़म को छुपा देना

  - Naghmana Kanwal

hamein bhi aa gaya aakhir kisi gham ko chhupa dena
koi dil ki agar pooche zara sa muskuraa dena

main apne dil mein rakhti hoon mohabbat karne waalon ko
kabhi seekha nahin main ne nageenon ko ganwa dena

agar khaali hoon dono haath bhi faila nahin sakti
ki jo khud hi sawaali ho mujhe phir us ne kya dena

kisi ki pyaas ne samjha diya hai zindagi karna
kabhi zakhamon pe lab rakhna kabhi aansu baha dena

kisi ki yaad ka deepak agar bujhne lage jaanam
mere soye hue zakhamon ko thokar se jaga dena

hamaare pyaar ka suraj agar ab doob bhi jaaye
mere hisse ki kirnon ko kisi dil mein chhupa dena

हमें भी आ गया आख़िर किसी ग़म को छुपा देना
कोई दिल की अगर पूछे ज़रा सा मुस्कुरा देना

मैं अपने दिल में रखती हूँ मोहब्बत करने वालों को
कभी सीखा नहीं मैं ने नगीनों को गँवा देना

अगर ख़ाली हूँ दोनों हाथ भी फैला नहीं सकती
कि जो ख़ुद ही सवाली हो मुझे फिर उस ने क्या देना

किसी की प्यास ने समझा दिया है ज़िंदगी करना
कभी ज़ख़्मों पे लब रखना कभी आँसू बहा देना

किसी की याद का दीपक अगर बुझने लगे जानम
मिरे सोए हुए ज़ख़्मों को ठोकर से जगा देना

हमारे प्यार का सूरज अगर अब डूब भी जाए
मिरे हिस्से की किरनों को किसी दिल में छुपा देना

  - Naghmana Kanwal

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naghmana Kanwal

As you were reading Shayari by Naghmana Kanwal

Similar Writers

our suggestion based on Naghmana Kanwal

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari