meri kashti ke baadbaan toote | मेरी कश्ती के बादबाँ टूटे

  - Naghmana Kanwal

meri kashti ke baadbaan toote
na-khudaon pe aasmaan toote

vo jo sapne the mere bachpan ke
dekhiye aa ke vo kahaan toote

zindagi ke bharam the jitne bhi
sab ke sab aaj na-gahaan toote

kaisi karvat zameen ne badli
kacche pakke sabhi makaan toote

bol kitne meri duaon ke
tere lehje se meherbaan toote

yaad aata hai tootna dil ka
jab koi barg-e-na-tavaan toote

kis ko maaloom hai bhala ai kanwal
dor saanson ki kab kahaan toote

मेरी कश्ती के बादबाँ टूटे
ना-ख़ुदाओं पे आसमाँ टूटे

वो जो सपने थे मेरे बचपन के
देखिए आ के वो कहाँ टूटे

ज़िंदगी के भरम थे जितने भी
सब के सब आज ना-गहाँ टूटे

कैसी करवट ज़मीन ने बदली
कच्चे पक्के सभी मकाँ टूटे

बोल कितने मिरी दुआओं के
तेरे लहजे से मेहरबाँ टूटे

याद आता है टूटना दिल का
जब कोई बर्ग-ए-ना-तवाँ टूटे

किस को मालूम है भला ऐ 'कँवल'
डोर साँसों की कब कहाँ टूटे

  - Naghmana Kanwal

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naghmana Kanwal

As you were reading Shayari by Naghmana Kanwal

Similar Writers

our suggestion based on Naghmana Kanwal

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari