aankh se gham nihaan nahin hote | आँख से ग़म निहाँ नहीं होते

  - Naheed Virk

aankh se gham nihaan nahin hote
phir bhi aansu ravaan nahin hote

umr bhar ka hai tera mera saath
is qadar bad-gumaan nahin hote

ham-kalaam un se hain tasavvur mein
asl mein ye samaan nahin hote

yun to kehne ko ham nahin maujood
par ye socho kahaan nahin hote

pyaar hota hai ya nahin hota
is mein wahm-o-gumaan nahin hote

आँख से ग़म निहाँ नहीं होते
फिर भी आँसू रवाँ नहीं होते

उम्र भर का है तेरा मेरा साथ
इस क़दर बद-गुमाँ नहीं होते

हम-कलाम उन से हैं तसव्वुर में
अस्ल में ये समाँ नहीं होते

यूँ तो कहने को हम नहीं मौजूद
पर ये सोचो कहाँ नहीं होते

प्यार होता है या नहीं होता
इस में वहम-ओ-गुमाँ नहीं होते

  - Naheed Virk

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari