ab kahaan us ki zaroorat hai hamein
ab akeley-pan ki aadat hai hamein
dekhiye ja kar kahaan rukte hain ab
teri qurbat se to hijrat hai hamein
saans leti ek khushboo hai jise
vird karne ki ijaazat hai hamein
dil-jazeera par hai us ki raushni
ik sitaare se mohabbat hai hamein
ab zara sargoshiyon mein baat ho
meherbaan lehje ki aadat hai hamein
phir usi chaukhat ki dil ko hai tadap
phir usi dar par sukoonat hai hamein
ham tahayyur khol denge aankh se
ki mayassar teri qurbat hai hamein
अब कहाँ उस की ज़रूरत है हमें
अब अकेले-पन की आदत है हमें
देखिए जा कर कहाँ रुकते हैं अब
तेरी क़ुर्बत से तो हिजरत है हमें
साँस लेती एक ख़ुश्बू है जिसे
विर्द करने की इजाज़त है हमें
दिल-जज़ीरे पर है उस की रौशनी
इक सितारे से मोहब्बत है हमें
अब ज़रा सरगोशियों में बात हो
मेहरबाँ लहजे की आदत है हमें
फिर उसी चौखट की दिल को है तड़प
फिर उसी दर पर सुकूनत है हमें
हम तहय्युर खोल देंगे आँख से
कि मयस्सर तेरी क़ुर्बत है हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Virk
our suggestion based on Naheed Virk
As you were reading Hijr Shayari Shayari