abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko
abhi to karna hai is dil se mashwara mujh ko
abhi shabeeh mukammal nahin hui teri
abhi to bharna hai ik rang-e-maavra mujh ko
koi na koi to soorat nikal hi aayegi
zara batao to darpaish marhala mujh ko
ye baat baat pe takraar-o-bahs kya karna
ki jeetna hai tumhein aur haarna mujh ko
main us ki zaat mein shaamil thi us ko mil jaati
duaa-e-khair samajh kar vo maangata mujh ko
main jis mein dekh ke khud ko sanwaar luun naaheed
abhi mila hi kahaan hai vo aaina mujh ko
अभी से ताक़-ए-तलब पर न तू सजा मुझ को
अभी तो करना है इस दिल से मशवरा मुझ को
अभी शबीह मुकम्मल नहीं हुई तेरी
अभी तो भरना है इक रंग-ए-मावरा मुझ को
कोई न कोई तो सूरत निकल ही आएगी
ज़रा बताओ तो दरपेश मरहला मुझ को
ये बात बात पे तकरार-ओ-बहस क्या करना
कि जीतना है तुम्हें और हारना मुझ को
मैं उस की ज़ात में शामिल थी, उस को मिल जाती
दुआ-ए-ख़ैर समझ कर वो माँगता मुझ को
मैं जिस में देख के ख़ुद को सँवार लूँ 'नाहीद'
अभी मिला ही कहाँ है वो आइना मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Virk
our suggestion based on Naheed Virk
As you were reading Dil Shayari Shayari