aks bhi arsa-e-hairaani mein rakha hua hai | अक्स भी अर्सा-ए-हैरान में रक्खा हुआ है

  - Naheed Virk

aks bhi arsa-e-hairaani mein rakha hua hai
kaun ye aaina-roo dhyaan mein rakha hua hai

shaam ki shaam se sargoshi sooni thi ik baar
bas tabhi se tujhe imkaan mein rakha hua hai

haan tire zikr pe ik kaat si uthati hai abhi
haan abhi dil tire bohraan mein rakha hua hai

ek hi aag mein jalna to zaroori bhi nahin
haan magar chehra wahi dhyaan mein rakha hua hai

raabte us se sabhi tod ke yaad aaya hai
aakhiri vaada to samaan mein rakha hua hai

raas aata hi nahin koi taalluq naaheed
dil-e-khush-fahm magar maan mein rakha hua hai

अक्स भी अर्सा-ए-हैरान में रक्खा हुआ है
कौन ये आईना-रू ध्यान में रक्खा हुआ है

शाम की शाम से सरगोशी सुनी थी इक बार
बस तभी से तुझे इम्कान में रक्खा हुआ है

हाँ तिरे ज़िक्र पे इक, काट सी उठती है अभी
हाँ अभी दिल तिरे बोहरान में रक्खा हुआ है

एक ही आग में जलना तो ज़रूरी भी नहीं
हाँ मगर चेहरा वही ध्यान में रक्खा हुआ है

राब्ते उस से सभी तोड़ के याद आया है
आख़िरी वादा तो सामान में रक्खा हुआ है

रास आता ही नहीं कोई तअल्लुक़ 'नाहीद'
दिल-ए-ख़ुश-फ़हम मगर मान में रक्खा हुआ है

  - Naheed Virk

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari