azaab-e-hijr se anjaan thodi hota hai | अज़ाब-ए-हिज्र से अंजान थोड़ी होता है

  - Naheed Virk

azaab-e-hijr se anjaan thodi hota hai
ye dil ab itna bhi naadaan thodi hota hai

ye zindagi hai bahut kuchh yahan pe mumkin hai
ki kuchh na hone ka imkaan thodi hota hai

ye dil ke zakham chhupa kar jo muskuraate hain
to mere dost ye aasaan thodi hota hai

kabhi-kabhaar to bid'at bhi ho hi jaati hai
har ek lamha tira dhyaan thodi hota hai

vo jis ke paas mohabbat bhi ho wafa bhi ho
bhala vo be-sar-o-saamaan thodi hota hai

tiri wafa mein kami kuchh to aayi hai ki ye dil
bila-jawaaz pareshaan thodi hota hai

idhar udhar se daleelen uthaani pad jaayen
jo itna kaccha ho eimaan thodi hota hai

अज़ाब-ए-हिज्र से अंजान थोड़ी होता है
ये दिल अब इतना भी नादान थोड़ी होता है

ये ज़िंदगी है बहुत कुछ यहाँ पे मुमकिन है
कि कुछ न होने का इम्कान थोड़ी होता है

ये दिल के ज़ख़्म छुपा कर जो मुस्कुराते हैं
तो मेरे दोस्त ये आसान थोड़ी होता है

कभी-कभार तो बिदअत भी हो ही जाती है
हर एक लम्हा तिरा ध्यान थोड़ी होता है

वो जिस के पास मोहब्बत भी हो, वफ़ा भी हो
भला वो बे-सर-ओ-सामान थोड़ी होता है

तिरी वफ़ा में कमी कुछ तो आई है कि ये दिल
बिला-जवाज़ परेशान थोड़ी होता है

इधर उधर से दलीलें उठानी पड़ जाएँ
जो इतना कच्चा हो, ईमान थोड़ी होता है

  - Naheed Virk

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari