bhari raat mein jaagna pad gaya hai | भरी रात में जागना पड़ गया है

  - Naheed Virk

bhari raat mein jaagna pad gaya hai
tire baare mein sochna pad gaya hai

kisi khwaab ki phir se dastak hai shaayad
dar-e-dil mujhe kholna pad gaya hai

tiri soch bhi sochnee pad gai hai
tira lahja bhi bolna pad gaya hai

dhuaan ban ke saanson mein chubhne lagi thi
khamoshi ko ab todna pad gaya hai

jahaan reza reza main bikhri padi thi
vo manzar mujhe jodna pad gaya hai

ye kya sarsaraahat hui mere dil mein
qalam rok kar sochna pad gaya hai

भरी रात में जागना पड़ गया है
तिरे बारे में सोचना पड़ गया है

किसी ख़्वाब की फिर से दस्तक है शायद
दर-ए-दिल मुझे खोलना पड़ गया है

तिरी सोच भी सोचनी पड़ गई है
तिरा लहजा भी बोलना पड़ गया है

धुआँ बन के साँसों में चुभने लगी थी
ख़मोशी को अब तोड़ना पड़ गया है

जहाँ रेज़ा रेज़ा मैं बिखरी पड़ी थी
वो मंज़र मुझे जोड़ना पड़ गया है

ये क्या सरसराहट हुई मेरे दिल में
क़लम रोक कर सोचना पड़ गया है

  - Naheed Virk

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari