gar dil se bhulaai meri chaahat nahin jaati | गर दिल से भुलाई मिरी चाहत नहीं जाती

  - Naheed Virk

gar dil se bhulaai meri chaahat nahin jaati
kyun phir tiri inkaar ki aadat nahin jaati

phir odh li hai ham ne tire naam ki chadar
phir dil se wahi ghar ki zaroorat nahin jaati

kyun raat ke parde mein chhupa din nahin aata
kyun aankh se lipti ye masafat nahin jaati

kyun waqt ruka hai meri aankhon mein abhi tak
kyun lams ki tere vo tamaazat nahin jaati

kyun vasl ki baarish nahin hoti mere aangan
kyun hijr ki naaheed ye hiddat nahin jaati

गर दिल से भुलाई मिरी चाहत नहीं जाती
क्यूँ फिर तिरी इंकार की आदत नहीं जाती

फिर ओढ़ ली है हम ने तिरे नाम की चादर
फिर दिल से, वही घर की ज़रूरत नहीं जाती

क्यूँ रात के पर्दे में छुपा दिन नहीं आता?
क्यूँ आँख से लिपटी ये मसाफ़त नहीं जाती

क्यूँ वक़्त रुका है मिरी आँखों में अभी तक?
क्यूँ लम्स की तेरे वो तमाज़त नहीं जाती

क्यूँ वस्ल की बारिश नहीं होती मिरे आँगन?
क्यूँ हिज्र की 'नाहीद' ये हिद्दत नहीं जाती

  - Naheed Virk

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari