mahtaab-e-wajood padhte hain
aa kitaab-e-wajood padhte hain
dhoop rangon mein dhaal dete hain
aaftaab-e-wajood padhte hain
teri khushboo ko saans karte hain
phir gulaab-e-wajood padhte hain
ik mahak jo badan jalaati hai
us ka baab-e-wajood padhte hain
kitni bojhal guzarti hain shaamen
tera khwaab-e-wajood padhte hain
teri hairaani jaan len pehle
phir saraab-e-wajood padhte hain
koi andar ki baat karte hain
iztiraab-e-wajood padhte hain
माहताब-ए-वजूद पढ़ते हैं
आ किताब-ए-वजूद पढ़ते हैं
धूप रंगों में ढाल देते हैं
आफ़्ताब-ए-वजूद पढ़ते हैं
तेरी ख़ुशबू को साँस करते हैं
फिर गुलाब-ए-वजूद पढ़ते हैं
इक महक जो बदन जलाती है
उस का बाब-ए-वजूद पढ़ते हैं
कितनी बोझल गुज़रती हैं शामें
तेरा ख़्वाब-ए-वजूद पढ़ते हैं
तेरी हैरानी जान लें पहले
फिर सराब-ए-वजूद पढ़ते हैं
कोई अंदर की बात करते हैं
इज़्तिराब-ए-वजूद पढ़ते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Virk
our suggestion based on Naheed Virk
As you were reading Romance Shayari Shayari