teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahat
dam-b-khud si baithi hai mere baam ki aahat
haath ki lakeeron se kis tarah nikaaloon main
teri yaad ke mausam tere naam ki aahat
jab ye dil rifaqat ki kacchi neend se jaaga
har taraf sunaai di ikhtitaam ki aahat
raat ke utarte hi dil ki sooni galiyon mein
jaag uthati hai phir se tere naam ki aahat
baith jaati hai aa kar dar pe kyun mere naaheed
tere saath ki khushboo tere gaam ki aahat
तेरी राह में रख कर अपनी शाम की आहट
दम-ब-ख़ुद सी बैठी है मेरे बाम की आहट
हाथ की लकीरों से किस तरह निकालूँ मैं
तेरी याद के मौसम, तेरे नाम की आहट
जब ये दिल रिफ़ाक़त की कच्ची नींद से जागा
हर तरफ़ सुनाई दी इख़्तिताम की आहट
रात के उतरते ही दिल की सूनी गलियों में
जाग उठती है फिर से तेरे नाम की आहट
बैठ जाती है आ कर दर पे क्यूँ मिरे, 'नाहीद'
तेरे साथ की ख़ुश्बू, तेरे गाम की आहट
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Virk
our suggestion based on Naheed Virk
As you were reading Neend Shayari Shayari