us ke hisaar-e-khwaab ko mat karb-e-zaat kar
is khushboo-e-khayaal ko tu kaayenaat kar
dil kab talak judaai ki shaamen manaayega
meri taraf kabhi to naseem-e-hayaat kar
main ik taveel raaste par hoon khadi hui
ya habs-e-teergi le ya haathon mein haath kar
dheeme suron mein chhed ke phir saaz-e-zindagi
tu mere lehje mein bhi kabhi mujh se baat kar
vo hijraten hon hijr ho ya qissa-e-visaal
aa phir se mere naam sabhi waqi'at kar
pairo'n se us ke naam ke raaste lipt gaye
ab to yaqeen ke shehar mein naaheed raat kar
उस के हिसार-ए-ख़्वाब को मत कर्ब-ए-ज़ात कर
इस ख़ुशबू-ए-ख़याल को तू काएनात कर
दिल कब तलक जुदाई की शामें मनाएगा
मेरी तरफ़ कभी तो नसीम-ए-हयात कर
मैं इक तवील रास्ते पर हूँ खड़ी हुई
या हब्स-ए-तीरगी ले या हाथों में हाथ कर
धीमे सुरों में छेड़ के फिर साज़-ए-ज़िंदगी
तू मेरे लहजे में भी कभी मुझ से बात कर
वो हिजरतें हों, हिज्र हो या क़िस्सा-ए-विसाल
आ फिर से मेरे नाम सभी वाक़िआ'त कर
पैरों से उस के नाम के रस्ते लिपट गए
अब तो यक़ीं के शहर में 'नाहीद' रात कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naheed Virk
our suggestion based on Naheed Virk
As you were reading One sided love Shayari Shayari