ye jo subh ke beech deewaar-e-shab si uthi lagti hai | ये जो सुब्ह के बीच दीवार-ए-शब सी उठी लगती है

  - Naheed Virk

ye jo subh ke beech deewaar-e-shab si uthi lagti hai
hai aks-e-tahayyur ki ye dastaan aur sooni lagti hai

jo main khwahishon mein ghiri chup bhari sa'aaten takti hoon
mujhe un ke andar talak tiri khwaahish gadi lagti hai

tira vird karti hui aasmaan se utarti hui
koi noor jaisi dua chaar-soo goonjti lagti hai

mere aaine mein jo tasveer teri ubhar aayi hai
ye jhutlaane se faaeda mujh ko ye raushni lagti hai

faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain
shafaq shaam ki meri aankhon se bhi jhaankti lagti hai

ये जो सुब्ह के बीच दीवार-ए-शब सी उठी लगती है
है अक्स-ए-तहय्युर की ये दास्ताँ और सुनी लगती है

जो मैं ख़्वाहिशों में घिरी चुप भरी साअतें तकती हूँ
मुझे उन के अंदर तलक तिरी ख़्वाहिश गड़ी लगती है

तिरा विर्द करती हुई आसमाँ से उतरती हुई
कोई नूर जैसी दुआ चार-सू गूँजती लगती है

मिरे आइने में जो तस्वीर तेरी उभर आई है
ये झुटलाने से फ़ाएदा? मुझ को ये रौशनी लगती है

फ़क़त मेरे चेहरे पे ही रंग खिल के नहीं उतरे हैं
शफ़क़ शाम की मेरी आँखों से भी झाँकती लगती है

  - Naheed Virk

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari