zabt honton pe aa gaya to phir | ज़ब्त होंटों पे आ गया तो फिर

  - Naheed Virk

zabt honton pe aa gaya to phir
tera sab hausla gaya to phir

saal-ha-saal ka akela-pan
tujh ko andar se kha gaya to phir

meri tanhaai ka ye sannaata
har taraf goonjtaa gaya to phir

vo jo taabeer ban ke aaya hai
khwaab saare jala gaya to phir

har taraf ye safed soona-pan
manzaron ko jala gaya to phir

jheel aankhen saraahne waala
in ko dariya bana gaya to phir

apne sab lafz de diye us ko
ab wahi bolta gaya to phir

is ke lehje ka rang agar naaheed
tere lehje pe chha gaya to phir

ज़ब्त होंटों पे आ गया तो फिर
तेरा सब हौसला गया तो फिर

साल-हा-साल का अकेला-पन
तुझ को अंदर से खा गया तो फिर

मेरी तन्हाई का ये सन्नाटा
हर तरफ़ गूँजता गया तो फिर

वो जो ताबीर बन के आया है
ख़्वाब सारे जला गया तो फिर

हर तरफ़ ये सफ़ेद सूना-पन
मंज़रों को जला गया तो फिर

झील आँखें सराहने वाला
इन को दरिया बना गया तो फिर

अपने सब लफ़्ज़ दे दिए उस को
अब वही बोलता गया तो फिर

इस के लहजे का रंग अगर 'नाहीद'
तेरे लहजे पे छा गया तो फिर

  - Naheed Virk

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naheed Virk

As you were reading Shayari by Naheed Virk

Similar Writers

our suggestion based on Naheed Virk

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari