diwali | "दिवाली"

  - Nazeer Banarasi

diwali

meri saanson ko geet aur aatma ko saaz deti hai
ye diwali hai sab ko jeene ka andaaz deti hai
hriday ke dwaar par rah rah ke deta hai koi dastak
barabar zindagi awaaz par awaaz deti hai

simtata hai andhera paanv failaati hai diwali
hansaaye jaati hai rajni hanse jaati hai diwali

qataarein dekhta hoon chalte-firte maah-paaron ki
ghataaein aanchalon ki aur barkha hai sitaaron ki
vo kaale kaale gesu surkh hont aur phool se aariz
nagar mein har taraf pariyaan tahlati hain bahaaron ki

nigaahon ka muqaddar aa ke chamkaati hai diwali
pahan kar deep-maala naaz farmaati hai diwali

ujaale ka zamaana hai ujaale ki jawaani hai
ye hansati jagmagaati raat sab raaton ki raani hai
wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka
hai jab tak raat baaki kah nahin sakte ki faani hai

vo jeevan aaj ki raat aa ke barsaati hai diwali
paseena maut ke maathe pe chhalkaati hai diwali

sabhi ke deep sundar hain hamaare kya tumhaare kya
ujaala har taraf hai is kinaare us kinaare kya
gagan ki jagmagahat pad gai hai aaj madhham kyun
munderon aur chhajjon par utar aaye hain taare kya

hazaaron saal guzre phir bhi jab aati hai diwali
mahal ho chahe kutiya sab pe chha jaati hai diwali

isee din draupadi ne krishna ko bhaai banaya tha
vachan ke dene waale ne vachan apna nibhaaya tha
janam din lakshmi ka hai bhala is din ka kya kehna
yahi vo din hai jis ne raam ko raja banaya tha

kai itihaas ko ek saath dohraati hai diwali
mohabbat par vijay ke phool barsaati hai diwali

gale mein haar phoolon ka charan mein deep-maalayen
mukut sar par hai mukh par zindagi ki roop-rekhaayen
liye hain kar mein mangal-ghat na kyun ghat ghat pe chha jaayen
agar partav pade murda-dilon par vo bhi jee jaayen

ajab andaaz se rah rah ke maskaati hai diwali
mohabbat ki lehar nas nas mein daudati hai diwali

tumhaara hoon tum apni baat mujh se kyun chhupaate ho
mujhe maaloom hai jis ke liye chakkar lagaate ho
banaras ke ho tum ko chahiye tyaohar ghar karna
buton ko chhod kar tum kyun ilahaabad jaate ho

na jaao aise mein baahar nazeer aati hai diwali
ye kaashi hai yahin to rang dikhlaati hai diwali

"दिवाली"

मिरी सांसों को गीत और आत्मा को साज़ देती है
ये दिवाली है सब को जीने का अंदाज़ देती है
हृदय के द्वार पर रह रह के देता है कोई दस्तक
बराबर ज़िंदगी आवाज़ पर आवाज़ देती है

सिमटता है अंधेरा पांव फैलाती है दिवाली
हंसाए जाती है रजनी हँसे जाती है दिवाली

क़तारें देखता हूँ चलते-फिरते माह-पारों की
घटाएँ आँचलों की और बरखा है सितारों की
वो काले काले गेसू सुर्ख़ होंट और फूल से आरिज़
नगर में हर तरफ़ परियाँ टहलती हैं बहारों की

निगाहों का मुक़द्दर आ के चमकाती है दिवाली
पहन कर दीप-माला नाज़ फ़रमाती है दिवाली

उजाले का ज़माना है उजाले की जवानी है
ये हँसती जगमगाती रात सब रातों की रानी है
वही दुनिया है लेकिन हुस्न देखो आज दुनिया का
है जब तक रात बाक़ी कह नहीं सकते कि फ़ानी है

वो जीवन आज की रात आ के बरसाती है दिवाली
पसीना मौत के माथे पे छलकाती है दिवाली

सभी के दीप सुंदर हैं हमारे क्या तुम्हारे क्या
उजाला हर तरफ़ है इस किनारे उस किनारे क्या
गगन की जगमगाहट पड़ गई है आज मद्धम क्यूँ
मुंडेरों और छज्जों पर उतर आए हैं तारे क्या

हज़ारों साल गुज़रे फिर भी जब आती है दिवाली
महल हो चाहे कुटिया सब पे छा जाती है दिवाली

इसी दिन द्रौपदी ने कृष्ण को भाई बनाया था
वचन के देने वाले ने वचन अपना निभाया था
जनम दिन लक्ष्मी का है भला इस दिन का क्या कहना
यही वो दिन है जिस ने राम को राजा बनाया था

कई इतिहास को एक साथ दोहराती है दिवाली
मोहब्बत पर विजय के फूल बरसाती है दिवाली

गले में हार फूलों का चरण में दीप-मालाएँ
मुकुट सर पर है मुख पर ज़िंदगी की रूप-रेखाएँ
लिए हैं कर में मंगल-घट न क्यूँ घट घट पे छा जाएँ
अगर परतव पड़े मुर्दा-दिलों पर वो भी जी जाएँ

अजब अंदाज़ से रह रह के मस़्काती है दिवाली
मोहब्बत की लहर नस नस में दौड़ाती है दिवाली

तुम्हारा हूँ तुम अपनी बात मुझ से क्यूँ छुपाते हो
मुझे मालूम है जिस के लिए चक्कर लगाते हो
बनारस के हो तुम को चाहिए त्यौहार घर करना
बुतों को छोड़ कर तुम क्यूँ इलाहाबाद जाते हो

न जाओ ऐसे में बाहर 'नज़ीर' आती है दिवाली
ये काशी है यहीं तो रंग दिखलाती है दिवाली

  - Nazeer Banarasi

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Banarasi

As you were reading Shayari by Nazeer Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Banarasi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari