is naye gham se kinaara bhi to ho saktaa hai | इस नए ग़म से किनारा भी तो हो सकता है

  - Nazir Wahid

is naye gham se kinaara bhi to ho saktaa hai
ishq phir ham ko dobara bhi to ho saktaa hai

aap andaaza lagaate rahein bas jugnoo ka
meri mutthi mein sitaara bhi to ho saktaa hai

kya zaroori hai ki ye jaan luta di jaaye
us kii yaadon pe guzaara bhi to ho saktaa hai

dil kii basti se sar-e-shaam jo utha hai dhuaan
achhe mausam ka ishaara bhi to ho saktaa hai

aap ko ham se mohabbat bhi to ho sakti hai
aur mohabbat mein khasaara bhi to saktaa hai

ye jo faila hai falak tak shab-e-hijraan ka ghubaar
meri vehshat ka nazaara bhi to ho saktaa hai

इस नए ग़म से किनारा भी तो हो सकता है
इश्क़ फिर हम को दोबारा भी तो हो सकता है

आप अंदाज़ा लगाते रहें बस जुगनू का
मिरी मुट्ठी में सितारा भी तो हो सकता है

क्या ज़रूरी है कि ये जान लुटा दी जाए
उस की यादों पे गुज़ारा भी तो हो सकता है

दिल की बस्ती से सर-ए-शाम जो उट्ठा है धुआँ
अच्छे मौसम का इशारा भी तो हो सकता है

आप को हम से मोहब्बत भी तो हो सकती है
और मोहब्बत में ख़सारा भी तो सकता है

ये जो फैला है फ़लक तक शब-ए-हिज्राँ का ग़ुबार
मिरी वहशत का नज़ारा भी तो हो सकता है

  - Nazir Wahid

More by Nazir Wahid

As you were reading Shayari by Nazir Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Nazir Wahid

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari