daar-e-hashr zara aur badhe baat ki bas
mujh se kuchh aur bhi poochhenge savaalaat ki bas
jis ko sun kar kabhi khush hote ho naaraz kabhi
aap farmaayein ki dohraaun wahi baat ki bas
kya main ab chhod doon yaarab yahin ummeed ka saath
kya abhi aur thehar sakti hai ye raat ki bas
zindagi kya isee uljhan mein guzar jaayegi
kya abhi aur bhi bigadenge ye haalaat ki bas
ye qayamat ki ghadi sar se talegi yaarab
hain dikhaane ko abhi aur kamaalaat ki bas
दावर-ए-हश्र ज़रा और बढ़े बात कि बस
मुझ से कुछ और भी पूछेंगे सवालात कि बस
जिस को सुन कर कभी ख़ुश होते हो नाराज़ कभी
आप फ़रमाएँ कि दोहराऊँ वही बात कि बस
क्या मैं अब छोड़ दूँ यारब यहीं उम्मीद का साथ
क्या अभी और ठहर सकती है ये रात कि बस
ज़िंदगी क्या इसी उलझन में गुज़र जाएगी
क्या अभी और भी बिगड़ेंगे ये हालात कि बस
ये क़यामत की घड़ी सर से टलेगी यारब
हैं दिखाने को अभी और कमालात कि बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Krishn Rahat
our suggestion based on Om Krishn Rahat
As you were reading Relationship Shayari Shayari