jab bhi jaan-e-bahaar milta hai | जब भी जान-ए-बहार मिलता है

  - Om Parkash Bajaj

jab bhi jaan-e-bahaar milta hai
dil ko sabr-o-qaraar milta hai

baat dil ki jo ho to kyun kar ho
vo sar-e-rahguzaar milta hai

yaad kuchh qaafilon ki aati hai
jab bhi udta ghubaar milta hai

nazm-e-gulshan mein kuchh to hai khaami
har koi sogwaar milta hai

baada-e-talkh mein kahaan hamdam
jo nazar mein khumaar milta hai

raharvon ke khuloos se akshar
manzilon ko vaqaar milta hai

जब भी जान-ए-बहार मिलता है
दिल को सब्र-ओ-क़रार मिलता है

बात दिल की जो हो तो क्यूँ कर हो
वो सर-ए-रहगुज़ार मिलता है

याद कुछ क़ाफ़िलों की आती है
जब भी उड़ता ग़ुबार मिलता है

नज़्म-ए-गुलशन में कुछ तो है ख़ामी
हर कोई सोगवार मिलता है

बादा-ए-तल्ख़ में कहाँ हमदम
जो नज़र में ख़ुमार मिलता है

रहरवों के ख़ुलूस से अक्सर
मंज़िलों को वक़ार मिलता है

  - Om Parkash Bajaj

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Parkash Bajaj

As you were reading Shayari by Om Parkash Bajaj

Similar Writers

our suggestion based on Om Parkash Bajaj

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari