bazaar-e-kaiynaat mein ye faisla hua | बाज़ार-ए-काइनात में ये फ़ैसला हुआ

  - Osaama ameer

bazaar-e-kaiynaat mein ye faisla hua
yaaraan-e-khush-ada ho tamaskhur rawa hua

bijli kadak rahi thi ajab ehtimaam se
baccha duaaein maang raha tha dara hua

vehshat nahin junoon nahin phir bhi iztiraab
nau-waaridaan-e-ishq hua so to kya hua

aayi thi dast-e-qais mein rusva hui chali
aawaargi ke saath bhi kitna bura hawa

main shor karne waale qabeele ka fard tha
par bolta nahin tha jabhi to khuda hua

maahol khush-gawaar hawa bhi thi taaza-dam
ik phool dast-e-shaakh pe naghma-saraa hua

teri hi guftugoo se kiya paida ik khayal
phir sher kehne lag gaya lahja naya hua

kal raat ma'arka tha ajab darmiyaan ka
meri to yaar khair hai duniya ka kya hua

बाज़ार-ए-काइनात में ये फ़ैसला हुआ
यारान-ए-ख़ुश-अदा हो तमस्ख़ुर रवा हुआ

बिजली कड़क रही थी अजब एहतिमाम से
बच्चा दुआएँ माँग रहा था डरा हुआ

वहशत नहीं जुनून नहीं फिर भी इज़्तिराब
नौ-वारिदान-ए-इश्क़ हुआ सो तो क्या हुआ

आई थी दश्त-ए-क़ैस में रुस्वा हुई चली
आवारगी के साथ भी कितना बुरा हवा

मैं शोर करने वाले क़बीले का फ़र्द था
पर बोलता नहीं था जभी तो ख़ुदा हुआ

माहौल ख़ुश-गवार हवा भी थी ताज़ा-दम
इक फूल दस्त-ए-शाख़ पे नग़्मा-सरा हुआ

तेरी ही गुफ़्तुगू से किया पैदा इक ख़याल
फिर शेर कहने लग गया लहजा नया हुआ

कल रात मा'रका था अजब दरमियान का
मेरी तो यार ख़ैर है दुनिया का क्या हुआ

  - Osaama ameer

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osaama ameer

As you were reading Shayari by Osaama ameer

Similar Writers

our suggestion based on Osaama ameer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari