main ne sun rakhi hai sahab ek kahaani dariya ki
shaam kinaare baith ke ik din vo bhi zabaani dariya ki
warna ham bhi aaine ke bhed se waqif ho jaate
ham ne apni man-maani ki ek na maani dariya ki
ret ke chhote tukde par hi aabaadi maqsood hui
usi bahaane chaaron jaanib hai sultaani dariya ki
aankhen hi izhaar karein to shaayad koi baat bane
suraj dhalti waqt jo dekhi thi veeraani dariya ki
subh-e-azl se ek hi jaise milte julte dariya hain
kis ne dekhi kis ne jaani shakl puraani dariya ki
saat-samundar dekhne lag gaye apne budhape ki jhuriyaan
apne joban par jab aayi shokh jawaani dariya ki
मैं ने सुन रक्खी है साहब एक कहानी दरिया की
शाम किनारे बैठ के इक दिन वो भी ज़बानी दरिया की
वर्ना हम भी आईने के भेद से वाक़िफ़ हो जाते
हम ने अपनी मन-मानी की एक न मानी दरिया की
रेत के छोटे टुकड़े पर ही आबादी मक़्सूद हुई
उसी बहाने चारों जानिब है सुल्तानी दरिया की
आँखें ही इज़हार करें तो शायद कोई बात बने
सूरज ढलते वक़्त जो देखी थी वीरानी दरिया की
सुब्ह-ए-अज़ल से एक ही जैसे मिलते जुलते दरिया हैं
किस ने देखी किस ने जानी शक्ल पुरानी दरिया की
सात-समुंदर देखने लग गए अपने बुढ़ापे की झुरियाँ
अपने जोबन पर जब आई शोख़ जवानी दरिया की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osaama ameer
our suggestion based on Osaama ameer
As you were reading Sooraj Shayari Shayari