pari ke aane ke imkaan bante jaate hain
ye dasht saare gulistaan bante jaate hain
ajab havas hai mohalle mein takht jeetne ki
ye log hain ki sulemaan bante jaate hain
main in ko dekh ke chaahoon ke vo gale lag jaayen
vo mujh ko dekh ke anjaan bante jaate hain
vo jitne soch ke mushkil sawaal karta hai
jawaab utne hi aasaan bante jaate hain
unhen main she'r ki soorat kabhi ugal doonga
jo dil mein dard ke toofaan bante jaate hain
ajeeb kooza-gari se dimaagh jud gaya hai
gulaab soch luun gul-daan bante jaate hain
kisi faqeer ke hujre mein baithne ke ba'ad
jo aadmi hain vo insaan bante jaate hain
परी के आने के इम्कान बनते जाते हैं
ये दश्त सारे गुलिस्तान बनते जाते हैं
अजब हवस है मोहल्ले में तख़्त जीतने की
ये लोग हैं कि सुलैमान बनते जाते हैं
मैं इन को देख के चाहूँ के वो गले लग जाएँ
वो मुझ को देख के अंजान बनते जाते हैं
वो जितने सोच के मुश्किल सवाल करता है
जवाब उतने ही आसान बनते जाते हैं
उन्हें मैं शे'र की सूरत कभी उगल दूँगा
जो दिल में दर्द के तूफ़ान बनते जाते हैं
अजीब कूज़ा-गरी से दिमाग़ जुड़ गया है
गुलाब सोच लूँ गुल-दान बनते जाते हैं
किसी फ़क़ीर के हुजरे में बैठने के बा'द
जो आदमी हैं वो इंसान बनते जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osaama ameer
our suggestion based on Osaama ameer
As you were reading Beti Shayari Shayari