zehan mera qayaas pahne hue | ज़ेहन मेरा क़यास पहने हुए

  - Osaama ameer

zehan mera qayaas pahne hue
dil hai khof-o-hiraas pahne hue

us ki aankhon mein saath dariya hain
aur mere hont pyaas pahne hue

bhediyae ne ajeeb chaal chali
chhup gaya sabz ghaas pahne hue

baith jaate hain baam-o-dar akshar
aaine aas-paas pahne hue

hain jo munh-boley kuchh faqeer miyaan
ye libaade hain khaas pahne hue

baat karta hai shaam sannaata
khaamoshi ka libaas pahne hue

shab-e-hijraan ek saaya mujhe
kyun daraata hai maas pahne hue

ज़ेहन मेरा क़यास पहने हुए
दिल है ख़ौफ़-ओ-हिरास पहने हुए

उस की आँखों में सात दरिया हैं
और मिरे होंट प्यास पहने हुए

भेड़िये ने अजीब चाल चली
छुप गया सब्ज़ घास पहने हुए

बैठ जाते हैं बाम-ओ-दर अक्सर
आइने आस-पास पहने हुए

हैं जो मुँह-बोले कुछ फ़क़ीर मियाँ
ये लिबादे हैं ख़ास पहने हुए

बात करता है शाम सन्नाटा
ख़ामुशी का लिबास पहने हुए

शब-ए-हिज्रान एक साया मुझे
क्यूँ डराता है मास पहने हुए

  - Osaama ameer

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osaama ameer

As you were reading Shayari by Osaama ameer

Similar Writers

our suggestion based on Osaama ameer

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari