hirs-e-maal-o-manaal mein khoya
ham ne farda bhi haal mein khoya
ek lamha tha tujh ko paane ka
vo bhi fikr-e-maal mein khoya
main ne pindaar-e-aashiqi saara
ik adhoore sawaal mein khoya
vo sitaara jo raah dikhaata
khud ghuroor-e-kamaal mein khoya
kaarwaan mahav hai andheron mein
rehnuma qeel-o-qaal mein khoya
saa'atein sar-nigoon guzarti hain
waqt is ke khayal mein khoya
main bhi karb-e-talab mein gum partav
vo bhi seher-e-jamaal mein khoya
हिर्स-ए-माल-ओ-मनाल में खोया
हम ने फ़र्दा भी हाल में खोया
एक लम्हा था तुझ को पाने का
वो भी फ़िक्र-ए-मआल में खोया
मैं ने पिंदार-ए-आशिक़ी सारा
इक अधूरे सवाल में खोया
वो सितारा जो राह दिखलाता
ख़ुद ग़ुरूर-ए-कमाल में खोया
कारवाँ महव है अंधेरों में
रहनुमा क़ील-ओ-क़ाल में खोया
साअ'तें सर-निगूँ गुज़रती हैं
वक़्त इस के ख़याल में खोया
मैं भी कर्ब-ए-तलब में गुम 'पर्तव'
वो भी सेहर-ए-जमाल में खोया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Partav Rohila
our suggestion based on Partav Rohila
As you were reading Khyaal Shayari Shayari