main jo sehra mein kisi ped ka saaya hota
dil-zada koi ghadi bhar ko to thehra hota
ab to vo shaakh bhi shaayad hi gulistaan mein mile
kaash is phool ko us waqt hi toda hota
waqt furqat nahin dega hamein murne ki kabhi
aage badhte hue ham ne jo ye socha hota
hanste hanste jo hamein chhod gaya hai hairaan
ab rulaane ke liye yaad na aaya hota
waqt-e-rukhsat bhi niraali hi rahi dhaj teri
jaate jaate zara mud ke bhi to dekha hota
kis se poochen ki wahan kaisi guzar hoti hai
dost apna kabhi ahvaal hi likkha hota
aisa lagta hai ki bas khwaab se jaaga hoon abhi
sochta hoon ki jo ye khwaab na toota hota
zindagi phir bhi thi dushwaar bahut hi dushwaar
har qadam saath agar ek maseeha hota
ek mehfil hai ki din raat bapaa rahti hai
chand lamhon ke liye kaash main tanhaa hota
मैं जो सहरा में किसी पेड़ का साया होता
दिल-ज़दा कोई घड़ी भर को तो ठहरा होता
अब तो वो शाख़ भी शायद ही गुलिस्ताँ में मिले
काश इस फूल को उस वक़्त ही तोड़ा होता
वक़्त फ़ुर्सत नहीं देगा हमें मुड़ने की कभी
आगे बढ़ते हुए हम ने जो ये सोचा होता
हँसते हँसते जो हमें छोड़ गया है हैराँ
अब रुलाने के लिए याद न आया होता
वक़्त-ए-रुख़्सत भी निराली ही रही धज तेरी
जाते जाते ज़रा मुड़ के भी तो देखा होता
किस से पूछें कि वहाँ कैसी गुज़र होती है
दोस्त अपना कभी अहवाल ही लिक्खा होता
ऐसा लगता है कि बस ख़्वाब से जागा हूँ अभी
सोचता हूँ कि जो ये ख़्वाब न टूटा होता
ज़िंदगी फिर भी थी दुश्वार बहुत ही दुश्वार
हर क़दम साथ अगर एक मसीहा होता
एक महफ़िल है कि दिन रात बपा रहती है
चंद लम्हों के लिए काश मैं तन्हा होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Partav Rohila
our suggestion based on Partav Rohila
As you were reading Good night Shayari Shayari