us garmi-e-baazaar se badh kar nahin kuchh bhi
sach jaaniye dukkaan ke andar nahin kuchh bhi
ham johad-e-musalsal se jahaan toot ke gir jaayen
vo lamha haqeeqat hai muqaddar nahin kuchh bhi
majboor tajassus ne kiya hai hamein warna
is qaid ki deewaar ke baahar nahin kuchh bhi
ye meri tamannaa hai ki jumbish mein hain parde
ik khwaahish-e-paiham hai pas-e-dar nahin kuchh bhi
afkaar ki aqliim viraasat hai hamaari
aur is ke siva ham ko mayassar nahin kuchh bhi
darvesh bhi hote hue ham aise ghani hain
daaraai-e-duniya-e-sikandar nahin kuchh bhi
jis takht-e-ghina par mutmakin hoon main partav
us daulat-e-behd ke barabar nahin kuchh bhi
उस गर्मी-ए-बाज़ार से बढ़ कर नहीं कुछ भी
सच जानिए दुक्कान के अंदर नहीं कुछ भी
हम जोहद-ए-मुसलसल से जहाँ टूट के गिर जाएँ
वो लम्हा हक़ीक़त है मुक़द्दर नहीं कुछ भी
मजबूर तजस्सुस ने किया है हमें वर्ना
इस क़ैद की दीवार के बाहर नहीं कुछ भी
ये मेरी तमन्ना है कि जुम्बिश में हैं पर्दे
इक ख़्वाहिश-ए-पैहम है पस-ए-दर नहीं कुछ भी
अफ़्कार की अक़्लीम विरासत है हमारी
और इस के सिवा हम को मयस्सर नहीं कुछ भी
दरवेश भी होते हुए हम ऐसे ग़नी हैं
दाराई-ए-दुनिया-ए-सिकंदर नहीं कुछ भी
जिस तख़्त-ए-ग़िना पर मुतमक्किन हूँ मैं 'परतव'
उस दौलत-ए-बेहद के बराबर नहीं कुछ भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Partav Rohila
our suggestion based on Partav Rohila
As you were reading Duniya Shayari Shayari