ab vo aangan vo ghar na khaprelen
ped panchi na phool aur belen
zindagi ham tire muhaafiz hain
kyun na phir apni jaan par khelen
aasmaan se humkata rehta hai
chaand ko laao god mein le len
apne ghar ki ghutan hi behtar hai
hijraton ka azaab kyun jhelen
wazn par hon ghazal ke sab misre
peedhiyon se na udareen ye relen
kya jaraaem ka sadd-e-baab hua
aur aabaad ho gaeein jele
ab to sasti hai shaay'ri parveen
lagti rahti hain aaye din seile
अब वो आँगन वो घर न खपरेलें
पेड़ पंछी न फूल और बेलें
ज़िंदगी हम तिरे मुहाफ़िज़ हैं
क्यों न फिर अपनी जान पर खेलें
आसमाँ से हुमकता रहता है
चाँद को लाओ गोद में ले लें
अपने घर की घुटन ही बेहतर है
हिजरतों का अज़ाब क्यों झेलें
वज़्न पर हों ग़ज़ल के सब मिसरे
पीढ़ियों से न उतरीं ये रेलें
क्या जराएम का सद्द-ए-बाब हुआ
और आबाद हो गईं जेलें
अब तो सस्ती है शाइ'री 'परवीन'
लगती रहती हैं आए दिन सेलें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Kaif
our suggestion based on Parveen Kaif
As you were reading Nature Shayari Shayari