gaye mausam mein jo khilte the gulaabon ki tarah | गए मौसम में जो खिलते थे गुलाबों की तरह - Parveen Shakir

gaye mausam mein jo khilte the gulaabon ki tarah
dil pe utarenge wahi khwaab azaabon ki tarah

raakh ke dher pe ab raat basar karne hai
jal chuke hain mere kheme mere khwaabon ki tarah

sa'at-e-deed ki aariz hain gulaabi ab tak
avvaleen lamhon ke gulnaar hijaabo ki tarah

vo samundar hai to phir rooh ko shaadaab kare
tishnagi kyun mujhe deta hai saraabo ki tarah

ghair-mumkin hai tire ghar ke gulaabon ka shumaar
mere rishte hue zakhamon ke hisaabon ki tarah

yaad to hongi vo baatein tujhe ab bhi lekin
shelf mein rakhi hui band kitaabon ki tarah

kaun jaane ki naye saal mein tu kis ko parhe
tera mea'ar badalta hai nisaabon ki tarah

shokh ho jaati hai ab bhi tiri aankhon ki chamak
gahe gahe tire dilchasp jawaabon ki tarah

hijr ki shab meri tanhaai pe dastak degi
teri khush-boo mere khoye hue khwaabon ki tarah

गए मौसम में जो खिलते थे गुलाबों की तरह
दिल पे उतरेंगे वही ख़्वाब अज़ाबों की तरह

राख के ढेर पे अब रात बसर करनी है
जल चुके हैं मिरे ख़ेमे मिरे ख़्वाबों की तरह

साअत-ए-दीद कि आरिज़ हैं गुलाबी अब तक
अव्वलीं लम्हों के गुलनार हिजाबों की तरह

वो समुंदर है तो फिर रूह को शादाब करे
तिश्नगी क्यूँ मुझे देता है सराबों की तरह

ग़ैर-मुमकिन है तिरे घर के गुलाबों का शुमार
मेरे रिसते हुए ज़ख़्मों के हिसाबों की तरह

याद तो होंगी वो बातें तुझे अब भी लेकिन
शेल्फ़ में रक्खी हुई बंद किताबों की तरह

कौन जाने कि नए साल में तू किस को पढ़े
तेरा मेआ'र बदलता है निसाबों की तरह

शोख़ हो जाती है अब भी तिरी आँखों की चमक
गाहे गाहे तिरे दिलचस्प जवाबों की तरह

हिज्र की शब मिरी तन्हाई पे दस्तक देगी
तेरी ख़ुश-बू मिरे खोए हुए ख़्वाबों की तरह

- Parveen Shakir
1 Like

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari