apne bistar pe bahut der se main neem-daraaz | अपने बिस्तर पे बहुत देर से मैं नीम-दराज़

  - Parveen Shakir

apne bistar pe bahut der se main neem-daraaz
sochti thi ki vo is waqt kahaan par hoga
main yahan hoon magar us koocha-e-rang-o-boo mein
roz ki tarah se vo aaj bhi aaya hoga
aur jab us ne wahan mujh ko na paaya hoga

aap ko ilm hai vo aaj nahin aayi hain
meri har dost se us ne yahi poocha hoga
kyun nahin aayi vo kya baat hui hai aakhir
khud se is baat pe sau baar vo uljha hoga
kal vo aayegi to main us se nahin boloonunga
aap hi aap kai baar vo rootha hoga
vo nahin hai to bulandi ka safar kitna kathin
seedhiyaan chadhte hue us ne ye socha hoga
raahdaari mein hare lawn mein phoolon ke qareeb
us ne har samt mujhe aan ke dhoonda hoga

naam bhule se jo mera kahi aaya hoga
ghair-mehsoos tariqe se vo chauka hoga
ek jumle ko kai baar sunaaya hoga
baat karte hue sau baar vo bhoola hoga
ye jo ladki nayi aayi hai kahi vo to nahin
us ne har chehra yahi soch ke dekha hoga
jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat mere baghair
haaye kis darja wahi bazm mein tanhaa hoga
kabhi sannaaton se vehshat jo hui hogi use
us ne be-saakhta phir mujh ko pukaara hoga
chalte chalte koi maanoos si aahat pa kar
doston ko bhi kis uzr se roka hoga
yaad kar ke mujhe nam ho gai hongi palkein
aankh mein pad gaya kuchh kah ke ye taala hoga
aur ghabra ke kitaabon mein jo li hogi panaah
har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga
jab mili hogi use meri alaalat ki khabar
us ne aahista se deewaar ko thaama hoga
soch kar ye ki bahl jaaye pareshaani-e-dil
yoonhi be-wajh kisi shakhs ko roka hoga

ittifaqan mujhe us shaam meri dost mili
main ne poocha ki suno aaye the vo kaise the
mujh ko poocha tha mujhe dhoonda tha chaaron jaanib
us ne ik lamhe ko dekha mujhe aur phir hans di
is hasi mein to vo talkhi thi ki is se aage
kya kaha us ne mujhe yaad nahin hai lekin
itna maaloom hai khwaabon ka bharam toot gaya

अपने बिस्तर पे बहुत देर से मैं नीम-दराज़
सोचती थी कि वो इस वक़्त कहाँ पर होगा
मैं यहाँ हूँ मगर उस कूचा-ए-रंग-ओ-बू में
रोज़ की तरह से वो आज भी आया होगा
और जब उस ने वहाँ मुझ को न पाया होगा!?

आप को इल्म है वो आज नहीं आई हैं?
मेरी हर दोस्त से उस ने यही पूछा होगा
क्यूँ नहीं आई वो क्या बात हुई है आख़िर
ख़ुद से इस बात पे सौ बार वो उलझा होगा
कल वो आएगी तो मैं उस से नहीं बोलूँगा
आप ही आप कई बार वो रूठा होगा
वो नहीं है तो बुलंदी का सफ़र कितना कठिन
सीढ़ियाँ चढ़ते हुए उस ने ये सोचा होगा
राहदारी में हरे लॉन में फूलों के क़रीब
उस ने हर सम्त मुझे आन के ढूँडा होगा

नाम भूले से जो मेरा कहीं आया होगा
ग़ैर-महसूस तरीक़े से वो चौंका होगा
एक जुमले को कई बार सुनाया होगा
बात करते हुए सौ बार वो भूला होगा
ये जो लड़की नई आई है कहीं वो तो नहीं
उस ने हर चेहरा यही सोच के देखा होगा
जान-ए-महफ़िल है मगर आज फ़क़त मेरे बग़ैर
हाए किस दर्जा वही बज़्म में तन्हा होगा
कभी सन्नाटों से वहशत जो हुई होगी उसे
उस ने बे-साख़्ता फिर मुझ को पुकारा होगा
चलते चलते कोई मानूस सी आहट पा कर
दोस्तों को भी किस उज़्र से रोका होगा
याद कर के मुझे नम हो गई होंगी पलकें
''आँख में पड़ गया कुछ'' कह के ये टाला होगा
और घबरा के किताबों में जो ली होगी पनाह
हर सतर में मिरा चेहरा उभर आया होगा
जब मिली होगी उसे मेरी अलालत की ख़बर
उस ने आहिस्ता से दीवार को थामा होगा
सोच कर ये कि बहल जाए परेशानी-ए-दिल
यूँही बे-वज्ह किसी शख़्स को रोका होगा!

इत्तिफ़ाक़न मुझे उस शाम मिरी दोस्त मिली
मैं ने पूछा कि सुनो आए थे वो? कैसे थे?
मुझ को पूछा था मुझे ढूँडा था चारों जानिब?
उस ने इक लम्हे को देखा मुझे और फिर हँस दी
इस हँसी में तो वो तल्ख़ी थी कि इस से आगे
क्या कहा उस ने मुझे याद नहीं है लेकिन
इतना मालूम है ख़्वाबों का भरम टूट गया!

  - Parveen Shakir

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari