mujhe mat bataana | मुझे मत बताना

  - Parveen Shakir

mujhe mat bataana
ki tum ne mujhe chhodne ka iraada kiya tha
to kyun
aur kis wajh se
abhi to tumhaare bichhadne ka dukh bhi nahin kam hua
abhi to main
baaton ke vaadon ke shahr-e-tilismaat mein
aankh par khush-gumaani ki patti liye
tum ko pedon ke peeche darakhton ke jhund
aur deewaar ki pusht par dhoondhne mein magan hoon
kahi par tumhaari sada aur kahi par tumhaari mahak
mujh pe hansne mein masroof hai
abhi tak tumhaari hasi se nabard-aazmaa hoon
aur is jang mein
mera hathiyaar
apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin
use kund karne ki koshish na karna
mujhe mat bataana

मुझे मत बताना
कि तुम ने मुझे छोड़ने का इरादा किया था
तो क्यूँ
और किस वज्ह से
अभी तो तुम्हारे बिछड़ने का दुख भी नहीं कम हुआ
अभी तो मैं
बातों के वादों के शहर-ए-तिलिस्मात में
आँख पर ख़ुश-गुमानी की पट्टी लिए
तुम को पेड़ों के पीछे दरख़्तों के झुण्ड
और दीवार की पुश्त पर ढूँडने में मगन हूँ
कहीं पर तुम्हारी सदा और कहीं पर तुम्हारी महक
मुझ पे हँसने में मसरूफ़ है
अभी तक तुम्हारी हँसी से नबर्द-आज़मा हूँ
और इस जंग में
मेरा हथियार
अपनी वफ़ा पर भरोसा है और कुछ नहीं
उसे कुंद करने की कोशिश न करना
मुझे मत बताना.....

  - Parveen Shakir

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari