jab se tumhaare vasl ki haazat nahin rahi
aankhon ko intizaar ki aadat nahin rahi
ab har kisi ke zehn mein hi aa gai garz
pehle si ab dilon mein muravvat nahin rahi
aakhir na kyun ghareeb ko insaaf mil saka
munsif nahin raha ki adaalat nahin rahi
hans-hanske roz ishq tere gham utha sake
ab is zaaif dil mein ye quwwat nahin rahi
mehfil mein unko dekh ke bechain ho gaya
isse to pehle dil ki ye haalat nahin rahi
hamne yahan vo dekh liye dosti ke rang
ab dushmanon se hamko adavat nahin rahi
ahbaab saath waqt ke peeche hi rah gaye
maahir ab apne paas ye daulat nahin rahi
जब से तुम्हारे वस्ल की हाज़त नहीं रही
आँखों को इन्तिज़ार की आदत नहीं रही
अब हर किसी के ज़ह्न में ही आ गई ग़रज़
पहले सी अब दिलों में मुरव्वत नहीं रही
आख़िर न क्यों ग़रीब को इंसाफ़ मिल सका
मुंसिफ़ नहीं रहा कि अदालत नहीं रही
हँस-हँसके रोज़ इश्क़! तेरे ग़म उठा सके
अब इस ज़ईफ़ दिल में ये क़ुव्वत नहीं रही
महफ़िल में उनको देख के बेचैन हो गया
इससे तो पहले दिल की ये हालत नहीं रही
हमने यहाँ वो देख लिए दोस्ती के रंग
अब दुश्मनों से हमको अदावत नहीं रही
अहबाब साथ वक़्त के पीछे ही रह गए
'माहिर' अब अपने पास ये दौलत नहीं रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pradeep Rajput 'Mahir'
our suggestion based on Pradeep Rajput 'Mahir'
As you were reading Ishq Shayari Shayari