naakaamiyon ke dar se lahu mat safed kar
patthar zara uchaal falak rakh de chhedkar
shaayad tumhein umeed ki chingaariyaan milen
maayusiyon ki raakh bhi dekho kured kar
jo mil gaya hai uske liye shukriya jata
jo kho gaya hai uska yahan kuchh na khed kar
chidiya ki aankh dekh na kuchh aur dekh tu
kar imtihaan paas nishaane ko bhedkar
maahir gamon ke daur mein himmat na haar tu
paigaam-e-yaas ko bhi hunar se naved kar
नाकामियों के डर से लहू मत सफ़ेद कर
पत्थर ज़रा उछाल, फ़लक रख दे छेदकर
शायद तुम्हें उमीद की चिंगारियाँ मिलें
मायूसियों की राख भी देखो कुरेद कर
जो मिल गया है उसके लिए शुक्रिया जता
जो खो गया है उसका यहाँ कुछ न खेद कर
चिड़िया की आँख देख न कुछ और देख तू
कर इम्तिहान पास निशाने को भेदकर
'माहिर' ग़मों के दौर में हिम्मत न हार तू
पैग़ाम-ए-यास को भी हुनर से नवेद कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pradeep Rajput 'Mahir'
our suggestion based on Pradeep Rajput 'Mahir'
As you were reading Good morning Shayari Shayari