gaavon mein bhi hare shajar the kabhi | गाँवों में भी हरे शजर थे कभी - Priya omar

gaavon mein bhi hare shajar the kabhi
saadgi se bhare bashar the kabhi

sone se din sitaaron ki raatein
dil bade aur chhote ghar the kabhi

muflisi thi magar na koi shikan
fikr se log bekhbar the kabhi

ghaat panghat bhi khilkhilate the
mitti range diwaar-o-dar the kabhi

tha buzurgon ka haath sar pe sada
mashware saath purasar the kabhi

raaste kacche par yaqeen pakke
sab musafir hi raahbar the kabhi

ho chale gaav shahr jaise ab
jo banaavat se beasar the kabhi

गाँवों में भी हरे शजर थे कभी
सादगी से भरे बशर थे कभी

सोने से दिन सितारों की रातें
दिल बड़े और छोटे घर थे कभी

मुफ़लिसी थी मगर न कोई शिकन
फ़िक्र से लोग बेख़बर थे कभी

घाट पनघट भी खिलखिलाते थे
मिट्टी रंगे दिवार-ओ-दर थे कभी

था बुज़ुर्गों का हाथ सर पे सदा
मशवरे साथ पुरअसर थे कभी

रास्ते कच्चे पर यक़ीं पक्के
सब मुसाफ़िर ही राहबर थे कभी

हो चले गाँव शह्र जैसे अब
जो बनावट से बेअसर थे कभी

- Priya omar
3 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priya omar

As you were reading Shayari by Priya omar

Similar Writers

our suggestion based on Priya omar

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari