lafz jab bhi besahaara chhod dete hain | लफ़्ज़ जब भी बेसहारा छोड़ देते हैं - Priya omar

lafz jab bhi besahaara chhod dete hain
hum bhi likhne ka iraada chhod dete hain

aarzoo hai phir raqm ho ik ghazal lekin
ek misra kah ke dooja chhod dete hain

dil dukhaaya jab khudi ka gair ki khaatir
phir saza mein khud ko tanhaa chhod dete hain

dekh rukh aawaam ka akshar siyaasatdaan
unke hisse mein shigoofaa chhod dete hain

ik tumhaare lams ki hi tishnagi baaki
dekh dariya khud ko pyaasa chhod dete hain

zindagi se kab talak shikwe priya karte
khwaab saare har tamannaa chhod dete hain

लफ़्ज़ जब भी बेसहारा छोड़ देते हैं
हम भी लिखने का इरादा छोड़ देते हैं

आरज़ू है फिर रक़म हो इक ग़ज़ल लेकिन
एक मिसरा कह के दूजा छोड़ देते हैं

दिल दुखाया जब ख़ुदी का ग़ैर की ख़ातिर
फिर सज़ा में ख़ुद को तन्हा छोड़ देते हैं

देख रुख़ आवाम का अक्सर सियासतदाँ
उनके हिस्से में शिगूफ़ा छोड़ देते हैं

इक तुम्हारे लम्स की ही तिश्नगी बाक़ी
देख दरिया ख़ुद को प्यासा छोड़ देते हैं

ज़िन्दगी से कब तलक शिकवे 'प्रिया' करते
ख़्वाब सारे हर तमन्ना छोड़ देते हैं

- Priya omar
3 Likes

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priya omar

As you were reading Shayari by Priya omar

Similar Writers

our suggestion based on Priya omar

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari